Grammatical units in Hindi
Hello🙋♂️ welcome to my website🌐 Darkrown.com👑
Ok toh main 1️⃣ek series create🏗️ kar raha hoon english🇺🇸 learning ko lekar jise main apne tarike😎 se easy language🇮🇳 me aur cute🐇 emojis ke saath samjhaunga👨🏫.
Aur sabse important baat yeh hai ki main english sikhane ke liye Oxford ki Book📖 Guide to English Grammar by John Eastwood ka istemal karunga.
🤔Kiyonki iss book ki khasiyat yeh hai ki iss book me English ke har tarah ke sentences ko cover kiya hai😐.
Grammatical units
toh sabse pehle hum samajhte🤓 hain ki grammatical units kya hote hain.
words, phrases, clauses aur sentences grammatical units kehlate hain. inhein maine ek-ek karke acche se explain😉 kiya hain jiske ke liye aap scroll down⬇️ kar sakte hain.
Word
word ko hum hindi🇮🇳 me शब्द kehte hain. word ko hum aise bhi samajh sakte hain ki jab ek se zyada english letters aapas me milte hain aur unka koi matlab banta hai toh veh ek word kehlata hai😗.
chalo aap yeh batao ki niche⬇️ diye sentence me kitne words hain🤔?
🤣Yay, I am learning english.
toh upar⬆️ diye sentence me total 5 words hain pehla hai Yay, dusra hai I, teesra hai am, chautha hai learning aur panchwa hai english.
haan, mujhe pata hai🙄 ki word kya hota hai aap jante hain lekin phir bhi mera farz hai batana🤠.
Phrase and Clause
hum phrase ka istemal karte hain kisi clause ko banane🏗️ ke liye.
Ex:-
Subject | Verb | Complement |
(noun phrase) | (verb phrase) | (noun phrase) |
You | are looking | cute😍. |
yahan noun phrase You subject hai clause ka.
🥭aamtaur par ek clause me ek subject aur ek verb hote hain, lekin inke alawa bhi aur phrases ho sakte hain.
aap agle example me dekhoge👀 prepositional phrase ek adverbial ke taur par:-
Subject | Verb | Object | Adverbial |
(noun phrase) | (verb phrase) | (noun phrase) | (prepositional phrase) |
👧She | hid | the shoes👟 | under the chair🪑. |
Sentence
Ek sentence sirf ek clause bhi ho sakta hai.
Ex:-
I went🚶 to buy a newspaper🗞️.
Ek sentence capital letter ke sath shuru hota hai aur full stop par khatm hota hai.
Lekin ek sentence me ek se zyada clause bhi ho sakte hain. Jinhein jodne ke liye hum and ka istemal kar sakte hain.
Ex:-
I went🚶 to a newspaper shop🛒 and bought🛍️ a newspaper🗞️.